Faiz Ahmed Faiz is one of the most regarded poets of Urdu language. Here is a collection of some of his best and popular Sher Shayari in Hindi.
Aur bhi gham hain zamaane me’n mohabbat ke siva
raahte’n aur bhi hai’n vasl ki raahat ke siva
*******
Aur kya dekhne ko baaqi hai
aap se dil lagaa ke dekh liya
********
Gulon me’n rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhi aao ki gulshan ka kaarobar chale
*********
Ik tarz-e-tagaaful hai so vo unko mubarak
ik arz-e-tamanna hai so ham karte rahenge
*********
Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke
*********
Na gul khile hain na unse mile na may pee hai
azeeb rang me’n ab ke bahaar guzari hai
*********
Na jaane kisliye ummeedvaar baitha huun
ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahi
*********
Vo baat saare fasaane me’n jiska zikra na tha
vo baat unko bahut naagavaar guzari hai
**********
Dono jahaan teri mohabbat mein haar ke
vo jaa rahaa hai koi shab-e-gham guzaar ke
**********
Dil naa-umeed to nahi naakaam hee to hai
lambi hai gham kee shaam magar shaam hee to hai