ranjish hee sahi dil hee dukhaane ke liye aa
aa fir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa
pahle se maraasim na sahi fir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hee nibhaane ke liye aa
kis-kis ko bataayenge zudaai kaa sabab ham
tuu mujh se khafaa hai to zamaane ke liye aa
kuchh to mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tuu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa
ik umra se huun lazzat-e-giriyaa se bhi mahroom
ai raahat-e-jaan mujhko rulaane ke liye aa
ab tak dil-e-khushfaham ko hai tujhse ummeeden
ye aakharee shammen bhi bujhaane ke liye aa
– Ghazal by Ahmed Faraz