Agar khuda na kare sach ye khvaab ho jaaye
teri sahar ho mera aaftaab ho jaaye
hujoor aariz-o-rukhsaar kya tamaam badan
meri suno to mujassim gulaab ho jaaye
uthaa ke fenk do khidaki se saagar-o-meena
ye tishnagi jo tumhe dastyaab ho jaaye
ye baat kitni bhalii hai jo aap karte hain
suno to seene kee dhadkan ravaab ho jaaye
bahut kareeb na aao yakeen nahi hoga
ye aarzoo bhi agar kaamyaab ho jaaye
ghalat kahuun to meri aakbat bigadatii hai
jo sach kahuun to khudii benaqaab ho jaaye
– A Ghazal by Dushyant Kumar