Junoon-e-shauq ab bhi kam nahi hai
magar vo aaj bhi barham nahi hai
bahut mushkil hai duniya ka sanvarnaa
tiree zulfon ka pech-o-kham nahi hai
bahut kuchh aur bhi hai is jahaan mein
ye duniya mahaj gham hi gham nahi hai
taqaaze kyuun karuun paiham na saaqi
kise yaan fikr-e-besh-o-kam nahi hai
meri barbaadiyon ka ham-nasheeno
tumhe kya khud mujhe bhi gham nahi hai
‘Majaaz’ ik baadaakash to hai yaqeenan
jo ham sunte the vo aalam nahi hai
– A Ghazal by Majaz