खुद दिल में रह के आँख से पर्दा करे कोई (A Ghazal in Hindi by Majaz) –
Khud dil me’n rah ke aankh se pardaa kare koi
haan lutf jab hai paa ke bhi dhuundha kare koi
tum ne to hukm-e-tark-e-tamanna sunaa diya
kis dil se aah tark-e-tamanna kare koi
mujh ko ye aarzoo vo uthaaye’n naqaab khud
unko ye intizaar taqaazaa kare koi
yaa to kisee ko jurat-e-deedaar hee na ho
yaa fir miree nigaah se dekhaa kare koi
hoti hai is mein husn kee tauheen ai ‘Majaz’
itna na ahal-e-ishq ko rusvaa kare koi
– A Ghazal by Majaz