Home Shayari in Hindi Shayari - Faiyaz Hashmi टकरा ही गई मेरी नज़र उनकी नज़र से – Faiyaz Hashmi Ghazals

टकरा ही गई मेरी नज़र उनकी नज़र से – Faiyaz Hashmi Ghazals

0

टकरा ही गई मेरी नज़र उनकी नज़र से (Ghazal in Hindi by Faiyaz Hashmi) – 

Fayyaz Hashmi Ghazals in Hindi Fonts

Takra hee gayi meri nazar unki nazar se
dhona hi padaa haath mujhe qalb-o-zigar se

izhaar-e-mohabbat na kiya bas isi darr se
aisa na ho gir jaaun kahiin unki nazar se

ai zauk-e-talab josh-e-junuun ye to bataa de
jaana hai kahaan aur ham aaye hain kidhar se

‘Fayyaz’ ab aaya hai junuun josh pe apna
hanstaa hai zamaana main guzarataa huun jidhar se

– Ghazal by Faiyaz Hashmi 

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here