This is a Ghazal by Legend Urdu poet / Shayar Mirza Ghalib -

aaiina kyuun na duun ke tamaashaa kahen jise
aisa kahaan se laauun ki tujhsaa kahen jise
hasrat ne laa rakhaa teri bazm-e-khayaal mein
guldastaa-e-nigaah suvedaa kahen jise
fuunka hai kisne goshe mohabbat mein ai khuda
afasuun-e-intzaar tamanna kahen jise
sar par huzuum-e-dard-e-gareebee se daaliye
woh ek musht-e-khak ke sahraa kahen jise
Ghalib bura na maan jo vaaiz bura kahe
aisa bhi koi hai ki sab achchha kahen jise
- Mirza Ghalib
Comments are closed.
Lajawab.